Wednesday 29 October 2014

Har waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho

Har waqt Tasaw’wur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammed ki mere dil mein basi ho

Do soz Bilaal AQA mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho

Ai kaash! mai banjaoon Madine ka musafir
Phir roti huwi Taibah ko baraat chali ho

Phir Rehmat-e-Bari se chaloon soo-e-Madina
Ai kaash! muqaddar se mayas’sar woh ghadi ho

Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkaun ki jhadi ho

Ai kaash! Madine mein mujhe maut yoon aajae
Qadmaun mein Tere sar ho meri rooh chali ho

Jab leke chalo gharibaan ko janazah
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho

Jis waqt nakirein meri qabr mein aaein
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho

ALLAH! karam aisa kare tujh par jahaan mein
Ai Dawate Islami teri dhoom machi ho

AQA ka gada hoon ai jahan’nam tu bhi sunle
Woh kaise jalay jo ke ghulam-e-Madani ho

Sadqa mere murshid ka karoon door balaein
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho

Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! mahille me jagah unke mili ho

Mehfooz sada rakhna Shaha be adbaun se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho

Attar hamara hai saray hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chit’thi mili ho

No comments:

Post a Comment