Wednesday 29 October 2014

Ho karam Sarkar ab tho ho gaey gham beshumaar

Ho karam Sarkar ab tho ho gaey gham beshumaar
jaan-o-dil thum par fida aey do jahan key taajdaar

Mey akeyla aur maas’il zindagee key beshumaar
Aap hi kuch kijiey na ey Shahey aali waqar

yaad atha hey tawafe khanaey Ka’ba mujhay
aur lipatna multazam say waley khana bar bar

sange aswad chuum kar milta mujhay keyf-o-saroor
chayn patha deykh kar dil mustajab-o-mustajar

ya Khuda dikhlahathi mey pak mizan woh maqam
aur safa marwa mujhay behray Rasoole zi waqar

ja raha hey kaafila Taiba nagar rotha huwa
mey raha jatha hun thanha aey Habibey kirdgaar

jald phir thum lo bula aur sabz ghumbad do dikha
hazri ki aarzo ney kardiya phir beykaraar

Choom kar khake Madinah jhoomtha phirtha tha mey
yaad athay hey madinay kay mujhay leyl o nahar

Ghumbaday Khazra key jalway aur woh iftariya
yaad athi hey bohoth Ramadhan Taibah ki bahar

Ya Rasulullah sun li jey meri faryaad ko
kown hai jo key sunay teray siwa meri pukaar

Haal par meray karam ki ik nazar farmaey
dil mera ghamgeen hai aey ghamzadon kay ghamgusaar

Kaflay walo suno yaad aey tho mera salam
arz karna rothay rothay ho sakey tho bar bar

ghamzada yun na huwa hotha Obaidey Qadri
iss baras bhi deykhtha ghar sabz Ghumbad ki bahar

No comments:

Post a Comment