Saturday 18 October 2014

hawa c larki

Gulaab cheherey pay muskarahat,
chamakti aankhoon mein shookh jazbay
woh jab bhi college ki seerion sey sahelioon ko liye uttarti
to aisay lagta jaisay dil mein uttar rahi ho,
kuch is tauqqan sey baat karti jaisay duniya,
usi ki aankhon sey dekhti hoo.
woh apnay rastey mein dil bichaati hoi nigahoon sey huns key kehti,
“tumharey jaisay bahut sey larkoon sey mein yeh bateein,bahut sey barsoon sey sun rahi hoon,
mein sahiloon ki hawa hoon,,nelaay samundroon key liye bani hoon
WOH! sahiloon ki hawa si larki,
jo rah chalti thi to aisa lagta tha jasiay dil mein uttar rahi ho,
woh! kal mili to usi tarah thi,
chamkti aankhoon meinshookh jazbay, gulaab chehrey pay muskarahat,
keh jaisay chandi pigal rahi ho,
magar jo boli,to uskey lehgey mein woh thakan thi,
key jaisay sadiyoon sey dasht-i-zulmat mein chal rahi hoo.

No comments:

Post a Comment