Saturday, 18 October 2014

us waqt agar tum aa jaao

jab shab ke shakista zeenon se mehtab ubharnay lagta hai
jab gham ke sard alaao me umeedein bhujnay lagti hain


jab dil ke shorida samander me aawaazein marnay lagti hain

jab mosam hath nahin aatay jab titli baat nahin karti

jab zinda rehna ik be-maani kaam dihkayi deta hai
jab aane wala har lamha dushnam dikhayi deta hai


jab yaad ke gehray sannatay me chehray gum ho jaatay hain
jab dard se bojhal ankhon me gardab se parrnay lagtay hain


jab sham’ein gul ho jati hain, jab khawab bikharnay lagtay hain
us waqt agar tum aa jaao

No comments:

Post a Comment