Thursday 9 October 2014

hazaron pal tumharay bin

hazaroN pall tumhare bin, na poocho, kaisay kat-tay hain,
kabhi yaadain rulaati hain, kabhi mousam satatay hain,
issay keh do hum aatay hain, humain mayoos na karna,
humara maan rakh laina,
humain wapas naheen jaana, humain dil main basa laina,
humain apna bana laina, bohot tarpay huye dil se,
bohot rootha naheen katay, mohabaat tou ibaadat hai,
usay ruswa naheen kartay, zamanay se chupatay hain,
kabhi zahir naheen kartay, suno aisay naheen kartay
suno aisay naheen kartay, safar tanha naheen kartay,
jisay shafaaf rakhna ho, usay maila naheen kartay,
teri aankhain ijazat dain, to hum kia kia naheen kartay,
yeh oonchay pair kaisay hain, humain saya naheen kartay,
jo dhun ho kar guzarnay ki, to phir socha naheen kartay,
bohut ujray huye logon per, bohut roya naheen kartay,
teri aankhon ko parhtay hain, tujhe daikha naheen kartay,
jo mil kar khud se kho jaye, usay dhoondha naheen kartay,
chalo tum raaz ho apna, tumhain afshaan naheen kartay,
sahar se pooch lo Mohsin, keh hum soya naheen kartay

No comments:

Post a Comment