Thursday 9 October 2014

Hum Aisay Marg-e-Talab Bhi Na Thay Mohabbat Main

Hum Aisay Marg-e-Talab Bhi Na Thay Mohabbat Main
Kay Jalti Aag Main, Bay Khatar Jatay
Yaqeen Jaan Meri Jaana’n Kay Hum Theher Jatay
Tumhari Aankh Kay Aansoo Thay, Sail-e-Aab Na Tha
Chhalak Bhi Jatay Ager, Rizq-e-Khaak Ho Jatay
Misaal-e-Qatra-e-Shabnum,Chamaktay, Kho Jatay
Raha Woh Harf-e-Wafa Jis Ki Konpal Per
Tumharay Bosa-e-Lub Say Gulaab Jagay Thay
So Woh Gulaab To Konpal Say Kut Bhi Saktay Hain
Rahay Woh Khuab Jo Aankhon Kay Aabgeenon Main
Dhanak Kay Rang Liye Doltay Rahtay Hain
So Aisay Khuab To Aa-ker Palat Bhi Saktay Hain
So Baat Harf-e-Wafa Ki Hai Or Na Khuabon Ki
Na Doltay Huay Rangon Say Pur Gulaabon Ki
Samay Kay Churtay Utartay Samandar Main
Sub Aik Pal Ki Haqeeqat, Sub Aik Pal Ka Sarab
Dilo’n Main Tark-e-Tamanna Ka Hosla Ho Ager
To Kesa Harf-e-Wafa!
Or Kahan Kay Khuab-o-Gulaab!
Yeh Kesay Dasht-e-Nadamat Main Ghir Gaye Aye Jaana’n
Kay Ek To Tark-e-Tamanna Ka Hosla Bhi Nahin
Or Us Pay Yeh Bhi Qayamat
Ager Bafarz-e-Muhaal
Tumhari Raah Say Phirnay Ka Hosla Bhi Milay!
Palat Kay Jayen Kahan, Ghar Ka Raasta Bhi Milay!

No comments:

Post a Comment