Thursday 9 October 2014

Kabhi Do Chaar Lamhon Mein

Barey Khush Feham Ho Tum Bhi
Samajhtey Ho
Tumharey Saath Hansta Bolta Rota Bilakta Ghar
Tumharey Baad Tum Ko Yaad Rakhey Ga


Yeh Sab Galiyaan
Tumharey Hii Naqoosh E Pa Sey Jo Aabaad Hain
Tum Sey Inhien Gehrii Mohabbat Hai
Na Ho Gey To


Tumharey Hijjr Mein Veraan Khandar Ho Jaien Gey
Shaayed Smajhtey Ho
Keh Almari Mein Rakhey Suit Mozey Aur Neckti

Pehan Kar Jin Ko Apney Aap Sey Tum Ko Mohabbat Hony Lagti Hai


Tumharey Jisam Kii Khusboo Sada Mehfooz Rakhien Gey
Yeh Sab Nazmien Yeh Sab Maktoob Eik Eik Satr Mein Jin Ki
Hai Apney Aap Ko Tum Ney Sitaaron Ki Trah Taanka
Chamaktey Hi Rhien Gey


Aur Wo Sab Cheezien
Tumharey Lams Kii Hiddat Ney Jin Ko Zindgii Bakhshii
Tumharey Naqsh Ko Mehfooz Rakhien Gey
Barey Khush-Feham Ho Tum Bhii


Suno
Jo Kuch Yhaan Mojood Hai Is Ko
Gye Guzrey Zamaanon Ko Bhula Dainey Kii Aadat Hai
Kabhi Do Chaar Lamhon Mein
Kabhi Do Chaar Sadiyon Mein

No comments:

Post a Comment