Thursday 9 October 2014

Saarii Cheezien Hii Na-mUkammal hAin

Saarii Cheezien Hii Na-mUkammal hAin
Kuch Bhi POora Nahi hAi Paas Meray
Na-mUkammal hAi Rat-JagOn Ka Safar
Khwaab Bhi hAin Sabhi AdhOorey Sey
Aur Tkhayul Kii WaadiyOn Mein Khien
Chund Ghazlien Bhatk-ti Rehtii hAin
jO Pohnchtii Nahi hAin Kaaghaz Par
Aur Agar Yeh Pohanch Bhi Jaaien tO
POora hOta Nahi ShAiR kOii
Chund Nazmien Bhi hAin AdhOori jO
Zehan Mein Aa Key lOat jAati hAin
jAisey MayOos Kii dUa kOii
Dil Sey Nikley Flak Sey Takraaye
Or Phir Be-Asar Hii lOat Aa Jaye
Kuch Bhi POora Nahi hAi Pass Meray
Saarey Jazbey Hii Na-mUmkammal hAin
Bara dhOondney Kii KOshish Kii
Kho Gya Apna Aap Jaaney Khaan
hUm Ney dhOonda Yhaan Whaan KhUd Ko
Mil Na Paaya Magar Suraagh kOii
Safar e Aagahii AdhOora hAi
Mera Sab Kcuh Abhi AdhOora hAi
Kuch Bhi POora Nahi hAi Pass Meray
Saarey Sapney Hi Na-mUkammal hAin
Chund Ehbaab Sey Bhii Milna Tha
Par AdhOorii hAin Sab mUlakaatien
yOn tO Milta hOn Har Kisi Sey Magar
POora Milta Nahi Kisi Sey Bhi
Shaayed Apni Hi Zindgii Sey Bhi
Khatt Bhi Kuch Teray Naam Likhney They
wO Bhi Na POoray Ho Sakey Ab Tak
Kuch Bhi POora Nahi hAi Pass Meray
Saarey Waadey Hii Na-mUkammal hAin
Kuch Kitaabien K Jin Ko Parhna Tha
wO Bhi Ab Tak yOn Hi Parii hAin Khien
Sirf dO Chaar Hii WarQ Paltey
Dil Ko Phir Yeh Khyaal Aaney Laga
Saarey SafhOn Ko chOar dOon Aisey
Zindgii Key Tamam RiShtOn Ko
KyOn Na ChUp Chaap tOar dOon Aisey
Kuch Bhi POora Nahi hAi Pass Meray
Saarey Rishtey Hii Na-mUkammal hAin
Munjamind SilSilOn Mein HalChal hO
Gham Key SehraaOn Mein jAl-Thal hO
Zindgii Ka Sabhii AdhOoora Pan
tUm Chaley Aao tO mUkammal hO

No comments:

Post a Comment