Tuesday, 14 October 2014

kabhi ishq ho to pata chalay

bisaat e jaan pe azab utertay hain kis tarah
shab o roz dil pe ataab utertay hain kis tarah
kabhi ishq ho to pata chalay
ye jo log say chupay huay hain pas e dostaan


to ye koun hain?
ye jo rog say hain chupay huay pas e jism o jaan
tou ye kis liye?
ye jo kaan hain meray aahaton pe lagay huay


tou ye kiyun bhala?
ye jo hont hain saf e dostaan mein silay huay
tou ye kis liye?
ye jo iztarab racha hua hai wajood mein


tou ye kiyun bhala?

ye jo sang sa koi aa gira hai jamood mein
tou ye kis liye?
ye jo dil mein dard chira hua hai lateef sa


to ye kab say hai?
ye jo putlion mein hai aks koi khafeef sa
so ye kab say hai?
ye jo ankh mein koi baraf si jami hui hai


tou ye kis liye
ye jo doston mein nai nai si kami hui
tou ye kiyun bhala?
ye jo log peechay paray huay hain fazool mein


inhein kiya pata?inhein kiya khabar?
kisi rah k kisi mor per ji inhein zara
kabhi ishq ho to pata chalay

No comments:

Post a Comment