Sunday 12 October 2014

kahiN to kaaRvaan-e-dard ki manzil Thahar jaaye

kahiN to kaaRvaan-e-dard ki manzil Thahar jaaye
kinaaRe aa lagey umr-e-ravaaN yaa dil Thahar jaaye
amaa’N kaisi ki mauj-e-KhuuN abhi sar se nahiN guzri
guzaR jaaye to shaayad baazuu-e-qaatil Thahar jaaye
ko_i dam baadbaaN-e-kashti-e-sahabaa ko tah rakho
zaRaa Thahro Gubaar-e-Khaatir-e-mahafil Thahar jaaye
hamaRi Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaa’N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye
nigaah-e-muntaziR kab tak karegii aa_iinaaba.ndi
kahiN to dasht-e-Gam meiN yaaR ka mahamil Thahar jaaye

No comments:

Post a Comment