Thursday 9 October 2014

kiyouN QurbatoN kaY shor maiN ghuTney lagaa thaa da’m

uss raat aasmaaN pe taaraY thaY iss qadar
dushwaar ho rahaa thaa safar meh’taab kaa
Ik bekinaar hij’r ka dasht-e-chaman numaa
ATkee huee thee nakh’l-e-tamanna kee shaakh par
fas’l-e-pareeda rang kee masli huee qaba
khilnaY lagaY thaY dast-e-hawa par khizaaN kaY phool
jaati huee bahaar kaY TooTey huaY usool
chehra azal kee aag thaa, aaNkhaiN aba’d kee dhool
uss raat TooTey huaY taaroN kee gooNj maiN
hum kitni der chaltaY rahaY kuch pata naheeN
kab tak hum apnaY un-kahaY lafzoN ki kirchiyaaN
farsh-e-hawaa saY chuntaY rahaY kuch pata naheeN
shabnam kaY saath saath chamkaY tamaam shab
taaraY thaY kaY woh aks meray aaNsu’oN kaY thaY
kiyouN QurbatoN kaY shor maiN ghuTney lagaa thaa da’m
Qismat kaY thaY kaY halqaY teraY baazu’oN kaY thaY
gard iss qadar hai aainah-o-maah-o-saal par
khuaaboN kaY aks apnaY khad-o-khaal kho gaYe
aaNkhoN kaY rang lay gai taaroN kee roshni
chehroN kaY naqsh ray’et kee tehreer ho gaYe
taktaY thaY dil kee sim’t jo qarnoN ki oTT saY
benaam khuaahishoN kaY woh mosam badal gaYe
sooraj ghuroob ho gaYe, mehtaab dhaL gaYe
taai’r shaheed ho gaYe, ashjaar jal gaYe
saahil ka jhaag ho kaY miTay ya kaY rizq-e-ab’r
aata naheeN palaT kaY kabhi jo gaya — gaya
lekin yeh kiya kaY aaj bhee jiss raat mehtaab
taaroN kaY bekinaaR maiN rasta naa paa sakaY
aa’NkhoN maiN jhilmilaataY huaY aaNsu’oN kaY paar
milti haiN iss tarhaN saY zamaanoN kee sarhadaiN
hum peechaY reh gaYe haiN kaY aagey nikal gaYe

No comments:

Post a Comment