Thursday 9 October 2014

maiN gazal kahoN maiN gazal parhoN mujhy day tu husan-e-khayal day

maiN gazal kahoN maiN gazal parhoN mujhy day tu husan-e-khayal day
tera gham he hai meri tarbe’at mujhay day tu ranj-o-malal day
sabhi chaar din ki hia chandni ye imar’taiN ye vezar’taiN
mujhay is fakir ki shaan day k zamana jis ki misaal day
meri subha teray salam se meri shaam hai teray naam se
teray dar ko choor k ja’ooN gha ye khayal dil se niqal day
meray saa’mnay jo pahaa’r they sabi sar jhuka k chaly ga’ey
jisay chaa’hay tu arooj day jisay chaa’hay tu zawal day
baray shooq se inhi pathroon ko shikam se baandh k so rahoon
mujhay maal-e-mufat haram hai mujhay day tu rizaq-e-halal day

No comments:

Post a Comment