Sunday 12 October 2014

Mar janay ki khwahish thee

Oosay anjanay rasto’n sai guzar janay ki khwahish thee
Mauhabbat mein amar honay ki
Mar janay ki khwahish thee
Woh kehta tha keh jeewan teergi hai
Or hamai’n is teergi mei’n
Rang bharnay hai’n
Roshni k
Yeh ham ko mukhtaser say
Chand lamhay jo qismat say mayassar hai’n
Yeh lamhay ham dono’n ko baham
Mauhabbat say abad karnay hai’n
Kisi ko daikhna hai or
Kisi say baat karni hai
Jaha’n yeh din guzar jaye’n
Wahee’n pai raat karni hai
Woh kehta tha
Mauhabbat ka koi mausam nahin hota
Yeh har mausam ka jazba’h hai
Kabhi bhi kam nahin hota
Adhoori si mauhabbat hai
Hamai’n takmeel karni hai
Mauhabbat ko naye dhab sai basar karnay ki khwahish
Oosay shab bhar jagatee hai
Na janay konsi chahat
Oosay har pal rulatee hai
Shanasa tha….magar
Har aik say anjan rehta tha
Bauhat abad tha…laikin
Sada weeran rehta tha
Oosay har shakhs ko
Hairan kar janay ki khwahish thee
Mauhabbat mein amar honay ki …..
Mar janay ki khwahish thee….!!!

No comments:

Post a Comment