Tuesday 14 October 2014

meray ajnabi meray ashna

meray ajnabi, meray ashna
tu misar kay aiena khanay main
tery khalo-o-khad kay siwa mujhay
kahi aur kuch na dekhaye day
ye azab-e-tooq-o-rasan mera
kisi kasar khuwab-o-khyal tak
mery zehan ko na rasa’ye day
mujhay rasta na dekhaye day
tu ye chatt jo apnay saroo-n pay hai
ye jo baam-o-dar kay hisar hain
ye jo rutjagoo-n ki bahar hai
ye jo qurbatoo-n ka khumar hai
to isi pay kya shab umar ki sabhi rahtoon ka madar hai?
mery ajnabi, meray ashna!
ye jo shoor hai dil zar ka
kabhi is pay ghoor kya hai kya?
mery ajnabi merya ashna
kabhi kash tujh say main kah sakoo-n
kay ye sa’atain hain kathan bohat
meray zakham jaan kay tabeeb a’a
meray tan badan say bhi rabt rakh
meri roh kay bhi kareeb a’a
mery ajnabi mery ashana……!

No comments:

Post a Comment