Friday 17 October 2014

Meray khowaab meri kahaniyaan

Meray baykhabar tujhay kya pata …
teri arzuoon kay dosh par..
teri kayfiyaat kay jaam main …
main jo kitni sadiyoon say qeid hoon …
teray naqsh main  teray naam main …
meray khowaab meri kahaniyaan …
meray zaiechay .. meray rastay …
Meray laikh ki yeh nishaniyaan …
teri chah main hain ruki hoi …
kabhi ansuoon ki qatar main …
kabhi patharoon kay hisaar main …
Kabhi dasht e hijr ki raat main …
kabhi badnaseebi ki ghaat main …
kaie rang dhooop say jal gaey …
kaie chaand shakh say dhal gaey …
kaie ta’n sulag kay pighal gaey …
teri ulfatoon kay qeyaam main …
teray dard kay dar o baam main …
koi kab say sabt e saleeb hai
teri kaienaat ki raat main …
Teray asdahaam ki shaam main …
Tujhay kya khabar tujhay kya pata …

No comments:

Post a Comment