Monday 13 October 2014

meri auqaat kya mere din raat kya

meri auqaat kya
mere din raat kya
reza reza badan qatra qatra lahu
tukray tukray ziddein raaegaa’n justaju
lamha lamha safar bay-samar aarzu
aik aawaargi sar-basar ku-baku
mere zer-e-nagee’n kab koi aasmaa’n
kab koi sar-zamee’n mera malboos-e-jaa’n
khaak ki aastee’n
is liyey jaan-e-man bhool kar ehd-e-jaa’n
chor kar shehr-e-tan tor kar bay-khalal
dard ki har rasan mujh say bay-saakhta
bay-niyaaz-e-wafa cheen kar bay-sabab
saya-e-zulf-o-lab mujh se kar k juda
apna band-e-qaba tu ne acha kia
meri auqaat kya
mere din raat kya

No comments:

Post a Comment