Saturday 18 October 2014

Reet iss nagar ki hai

Titliyon Ke Mosam Main Nochna Gulabon Ka
Reet Iss Nagar Kee Hai Aur Janay Kab Say Hai
Dekh Kar Parindon Ko Baandhna Nishanon Ka
Reet Iss Nagar Ke Hai Aur Janay Kab Say Hai
Shahar Ke Yeh Bashinday, Nafraton Ko Bo Kar Bhi
Intizaar Kartay Hain , Fasl Ho Mohabbat Kee
Bhool Kar Haqeeqat Ko, Dhoondna Sarabon Ka
Reet Iss Nagar Kee Hai Aur Janay Kab Say Hai
Tum Abhi Naye Ho Na, Iss Leay Pareshan Ho
Aasmaan Ki Janib, Iss Tarha Se Mat Dekho
Aafatain Jab Aani Hon, Tootna Sitaroon Ka
Reet Iss Nagar Kee Hai Aur Janay Kab Say Hai
Khamshi Mera Shewa, Guftugoo Hunar Uss Ka
Meri Be-Gunahi Ko Log Kesay Manain Gay
Baat Baat Par, Maangna Jawaboon Kaa
Reet Iss Nagar Kee Hai Aur Janay Kab Say Hai
Ajnabi Fiza-on Main, Ajnabi Musafir Say
Apnay Har Ta-alluq Ko Da-imee Bana Lena
Bicharna Jab Uss Ka Too Maangna Duaoon Ka
Reet Iss Nagar Ka Hai Aur Janay Kab Sa Hai

No comments:

Post a Comment