Saturday 18 October 2014

Na yaqeen wajood pey karh ker na riday yaas mean aaon ga

Na yaqeen wajood pey karh ker na riday yaas mean aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho mean usi libas mean aaon ga
Mujhey raygaan na talash ker, mean safar mean tha, mean safar mean hoon
Kabhi noor-e-harf ki raah sey diley khudshanas mean aaon ga
To hey ajnabi meari zaat sey kabhi pooch kerb ki raat sey
Mean nehaan hoon maoj-e-farat sey,mean nazar to piyas mean aaon ga
Mujhey doosron sey talab na ker mujhey khud sey mang key deakhna
Mean barang-e-aksey gohar noma kaf-e-iltamas mean aaon ga
Meari justjoo ney jo dam lia, mearey bekaraan ney kaha mujhey
Keh mean agahi sey hoon mawara na had-e-hawas mean aaon ga
Mujhey ab too shaok sey bhool ja, yahi naz kam to nahean keh mean
Teari chahton ki kitab key kisi iqtabas mean aaon ga
Kabhi mujh ko MOHSIN naiy dinon ki tapash mean dhonday ga wo kahean
Kabhi yad us ko gay dinon key safar ki bas mean aaon ga

No comments:

Post a Comment