Sunday 12 October 2014

Tum jo pal ko tthehar jaao to ye lamhey bhi

Tum jo pal ko tthehar jaao to ye lamhey bhi
aaney waaley lamhoN ki amaanat ban jaaeiN
tum to tthehar jao to ye raat, mehtaab
ye sabzaa, ye gulaab aur hum donoN ke khuaab


sab ke sab aesey mubham hoN ke haqeeqat ho jaaeiN
tum tthehar jao ke unwaan ki tafseer ho tum
tum sey talkhi-e-auqaat ka mausam badley
raat to kya badley gi, haalaat to kya badleiN ge


tum jo tthehar jaao to meri zaat ka mausam badley
meherbaaN ho ke na tthehro to phir yuN tthehro
jesey pal bhar ko koi khuaab-e-tamanna tthehrey
jesey darwesh-e-madaa-nosh ke pyaale meiN kabhi


aek do pal ke leeye talkhiy-e-dunya tthehrey
tthehar jaao ke madaarat maey-khaaney se
chaltey chaltey koi aek-aadh subho ho jaey
is sey pehley ke koi lamha-e-aainda ka teer
is tarha aaey ke pevasta-e-gulu ho jaaey!

No comments:

Post a Comment