Tuesday, 11 November 2014

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhy

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhy
Kis ko serab kary kis ko piyasa rakhy

Omar bhar kon nibhata hai taaluq apna
Ay meri jan ke dusman tujhy Alah rakhy

Hum ko acha nahin lgta koi humnaam tera
Koi tujh sa ho to phir naam bhi tera rakhy

Dil bhi pagal hai keh us shakhas se wabasta hai
Jo kisi aor ka hony de nah apna rakhy

Kam nahin tama ibadat bhi to hirs-e-zar se
Fiqr to woh hai keh jo deen nah dunya rakhy

Hans nah itna bhi faqeeron ke akely pan pe
Ja khuda tujh ko bhi meri tarha tanha rakhy

Yeh qiyamat hai ataat hai keh chahat hai Faraz
Hum to razi hein woh jis hal mein jesa rakhy

No comments:

Post a Comment