Tuesday 11 November 2014

Jab tera dard mery sath wafa karta hai

Jab tera dard mery sath wafa karta hai
Ik samandar meri aankhon se baha krta hai

Us ki baten mujy khushboo ki tarh lgti hein
Phool jesy koi sehra mein khila karta hai

Mery dost ki pehchan yehi kafi hai
Woh har aik shakhas ko danista khafa karta hai

Aor to koi sabab iski mohabbat ka nahin
Baat itni hai keh woh mujh se jafa karta hai

Jab khizan aai to lot aey ga woh bhi Faraz
Woh baharon mein zara kam mila karta hai

No comments:

Post a Comment