Tuesday 11 November 2014

Jis simat bhi dekhon to nazar ata hai keh tum ho

Jis simat bhi dekhon to nazar ata hai keh tum ho
Ay jan-e-jahan yeh koi saya hai keh tum ho

Yeh khawab khushboo hai jhonka hai keh pal hai
Yeh dhund hai badal hai saya hai keh tum ho

Is deed ki sayat mein kai rang hein larzan
Main hon koi aor dunya hai keh tum ho

Dekho yeh kisi aor ki aankhen hein keh meri
Dekhon yeh kisi aor ka chehra hai keh tum ho

Yeh omar-e-gurezan kahen thery to yeh junoon
Har sans mein mujh ko yeh lgta hai keh tum ho

Har bazam mein mozo-e-sukhan dil zadgan ka
Ab kon hai shiren hai keh laila hai keh tum ho

Ik dard ka phela hoa sehra keh main hon
Ik moj mein aya hoa darya hai keh tum ho

Waqt nah aye keh dil zaar bhi sochy
Is shehr mein tanha koi hum sa hai keh tum ho

Ay jan-e-Faraz itni bhi tofeeq kisy thi
Hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai keh tum ho

No comments:

Post a Comment