Sunday 12 October 2014

mujhay aurnay day aziatain meri adatain na kharab kar

na sama’aaton main tappash ghulay na nazar ko waqf e azaab kar
Jo suna’ee day ussay chup sikha jo dikha’ee day ussay khwab kar
abhi muntashir na ho ajnabi na vissaal- e-rutt k karam jataa
jo teri talaash main gum huay kabi un dinon ka hisaab kar
meray sabar pe koi ajar keon meri dehleez pe ye abar kyoon
mujhay au’rnay day azi’atain meri adatain na kharab kar
kahin aablon k bhanwar main kahin dhoop roop badan main sajain
kabi dil ko thall ka mizaj day kabhi chashm e tar ko chanab kar
ye hujoom har sitam garan na sunay ga teri sada kabi
meri hasraton ko sukhan suna meri khwahishon say khitab kar
ye juloos e fassl e bahaar hai tehi dasst yaar saja issay
koi ashk phir say sharar bana kar zakhm phir say gulaab kar

No comments:

Post a Comment