Sunday 12 October 2014

meray muqadar k zaaechoon main meri kismat k zaavion main

meri tamana ka sard mausam meri aa’na ki sulagti shaamain
teri haya ka wo baraf lahja teri wafa ki machalti shaamain
meray muqadar k zaa’echoon main meri kismat k zaa’vion main
har aik lamha har aik pal ko ulajti subhain ulajti shamain
wo kahwab meray wo saraab meray wo rut jaghoon k azab meray
wo bahki bahki see dhalti shamain wo larkharati sambhalti shamain
wo urtey lamhay uray tu yuun they k jesay badal k jesay titli
magar dar-e-dil pe yuun rukay hain jesay ruk jaa’ein chalti shamain
meri wafa ko milay hain “atif” gham-e-zaman k khotey sikay
meri udasi pe hansti shamian machalti shamain balkti shamain

No comments:

Post a Comment