Friday, 12 September 2014

Musafir Tu Bichartay Hain Rafaqat Kub Badalti Hai

Musafir Tu Bichartay Hain Rafaqat Kub Badalti Hai
Muhabat Zinda Rahti Hai Muhabat Kub Badalti Hai

Tumhi Ko Cha’htay Hain Hum Tumhi Say Piyar Kartay Hain
Yahi Barsoo Ki Adat Hai Ye Aadat Kub Badalti Hai

Tumhain Jo Yaad Rakha Hai Yahi Apni Ebadat Hai
Ebadat Karnay Waloon Ki Ebadat Kub Badalti Hai

Kali Ka Phool Banana Aur Bbkher Jana Muqader Hai
Yahi Qanoon-E-Fitrat Hai So Fitrat Kub Badalti Hai

Jo Dil Par Naqash Ho Ja’ey Nigahoon Main Simat Aa’ey
Aalamat Hai Ye Chahet Ki Tu Chahet Kub Badalti Hai

Puranay Zakhm Ko Arshad Bhula Day’na Hi Acha Hai
Agar Chahay Na Khud Koi Tu Qismat Kub Badalti Hai

No comments:

Post a Comment