Friday, 12 September 2014

Wo Gaya To Saath Hii Ley Gya

Wo Gaya To Saath Hii Ley Gya
Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka

Koii Shakhs Tha Meray Shehar
Mein Kisi Door Paar Kay Shehar Ka

Chalo Koii Dil To Udaas Tha,
Chalo Koii Aankh To Num Rahii

Chalo Koii Dar To Khula Raha
Shab E Intezaar Kay Shehar Ka

Ye Jo Main Nay Tazza Ghazal Kahi,
So Hai Nazr Ehal E Firaaq Kii

K Na Mil Saka Koii Nama-Bar Mujhey
Meray Yaar Kay Shehar Ka

So Matta E Jaan Ko Liye Hoye
Palat Aaye Teray Garifta Dil

Kisay Baichtay K Milla Nahien
Koii Aitbaar Kay Shehar Ka

Meray Tarz E Naghma Saraaii Say
Koii Baghbaan Bhi To Khush Nahi

Yeh Mera Mizaaj Hai Kya Karon K
Hon Main Bahaar Kay Shehar Ka

Kissi Aur Dais Kii Oarr Ko
Suna Hai Faraz Chala Gaya

Sabhi Dukh Samait Kay Shehar
Ka Sabhi Qarz Utaar Kay Shehar Ka

No comments:

Post a Comment