Friday, 12 September 2014

Zindgii Taiz Bohet Taiz Hawa Ka Jhonka

Zindgii Taiz Bohet Taiz Hawa Ka Jhonka
Jaltii Bujhtii Hoii Shamien Hain Mah O Saal Meray
Dhalta Sooraj Meray Maazi Ki Lehad Ka Katba
Raig E Sehra Ki Lakeerien Hain Khad O Khaal Meray
Chaand Meray Tan E Majrooh Par Sang E Ejaaz
Dhoop Chaaon Meray Sad Chaak Libadey Ka Khiraaj
Sab Sitarey Meri Poshaak Key Pewand E Naheef
Meray Aansoo Mera Wirsa Meri Aankhon Ka Mizaaj
Mera Chehra Meray Maqtool Hunr Ki Tareekh
Meri Aankhien Meri Dukhtii Hoii Raaton Key Charaagh
Meray Honton Pey Meray Karb Key Nohon Ka Hajoom
Meray Seenay Pey Drakhshaan Meri Toheen Key Daagh
Aaj Ki Shaam K Har Saal Isii Shaam Key Saath
Meri Ukhrii Hoii Saanson Mein Girah Lagtii Hai
Aasmaan Waqt Key Aanchal Mein Dhanak Bunta Hai
Sari Dhartii Tan E Uryaan Ki Zirah Lagtii Hai
Aaj Ki Shaam K Har Saal Meray Zakhm Nawaaz
Muskuratey Hoye Phool Atta Kartey Hain
Kuch Maseeha Meri Khaatir Mera Dil Rakhney Ko
Khat Mein Jeenay Ki Dua Bhaij Diya Kartey Hain
Saal Ha Saal Guzarney Pey Bhii Aey Dil Zadgaan
Aaj Ki Shaam Manatey Hoye Dar Lagta Hai
Muskuratey Hoye Chehron Key Bhanwar Hain Lekin
Aakhrii Shama Jalatey Hoye Dar Lagta Hai
Dil Dharakta Hai K Jaltii Hoii Shamon Ka Dhuaan
Shola E Karb Mein Tehleel Na Ho Jaye Kahien
Jii Larazta Hai K Manzar Key Adhoorey Pan Kii
Aaj Ki Shaam Sey Takmeel Na Jaaye Kahien
Aao Kuch Dair Ko Hum Zakhm Shumaarii Kar Lien
Aur Kuch Dair Mein Har Shama Pighal Jaaye Gii
Aaj Ki Bazm Mein Kho Jaaien Kahien So Jaaien
Aaj Kii Shaam Bhi Kuch Dair Mein Dhal Jaaye Gii
Jaltii Bujhtii Hoii Shamon Ka Bharosa Kya Hai
Zindgii Taiz Boht Taiz Hawa Ka Jhonka

No comments:

Post a Comment