Mera Azm To Tha Buland Tar Isey Haadson Ney Mitta Diya
Main Musafaton Mein Bikhr Gya Mujhey Raaston Ney Ganwa Diya
Teray Saath Chalney Ka Hosla Meri Himmaton Sey Guzar Gya
Main To Pehlay Hii Tha Shikasta-Paa Mujhey Aandhiyon Ney Gira Diya
Teray Chehray Par Bhi To Phool They Teri Aankhon Mein Bhi To Rang They
Too Ney Phool Bhii, Too Ney Rang Bhi, Sabhi Aansoun Mein Baha Diya
Na Main Chaaon Hon Na Mein Dhoop Hon Shikastgii Ka Wo Roop Hon
Mera Dil Gya Meri Jaan Gaii Mujhey Bijliyon Ney Jalla Diya
Too Ney So Sitam Bhi Diye To Kya Main Ney Seh Liye Teray Naam Par
Teray Zulm Ki Hai Yeh Inteha Too Ney Dar Sey Apney Uthaa Diya
No comments:
Post a Comment