Friday, 12 September 2014

Dasht E Hijraan Mein Saya Na Sada Teray Baad

Dasht E Hijraan Mein Saya Na Sada Teray Baad
Kitney Tanha Hain Teray Aabla Pa Teray Baad

Koii Paighaam Na Dildaar – Nawa Teray Baad
Khaak Uraatii Hoi Guzrii Hai Saba Teray Baad

Lab Pey Eik Harf E Talab Tha Na Rha Teray Baad
Dil Mein Taseer Kii Khwaahish Na Dua Teray Baad

Aks O Aaiyena Mein Rabt Ho Gya Teray Baad
Hum To Phirtey Hain Khud Sey Khaffa Teray Baad

Dhoop Aariz Ki Na Zulfon Kii Ghata Teray Baad
Hijjr Ki Rut Hai Key Habs Kii Fiza Teray Baad

Liye Phirti Hai Sar E Koo E Jafa Teray Baad
Parcham E Tar Garebaan Ko Hawa Teray Baad

Pairhan Apna Salamat Na Qaba Teray Baad
Bas Wohi Hum Wohii Sehra Kii Rida Teray Baad

Nikhat O Ney Hai Na Dast E Qaza Teray Baad
Shaakh E Jaan Par Koi Ghuncha Na Khila Teray Baad

Dil Na Mehtaab Sey Uljha Na Jalla Teray Baad
Aik Jugnoo Tha Chup Chaap Bujha Teray Baad

Kon Sey Rangon Key Bhanwar Kaisi Hinna Teray Baad
Apna Hi Khoon Apnii Hathailii Pey Saja Teray Baad

Dard Seenay Main Hua Noha-Sara Teray Baad
Dil Ki Dharkan Ai Key Matam Ki Sada Teray Baad

Aik Hum Hain Key Be Barg O Nawa Teray Baad
Warna Aabaad Haik Eik Khalq E KHUDA Teray Baad

Eik Qyamat Ki Kharaashien Meray Chehrey Pey Sajien
Eik Mehshar Meray Ander Sey Utha Teray Baad

Tujh Sey Bichra To Murjha Key Hawa Burd Hua
Kon Daita Hai Mujhey Khilney Ki Dua Teray Baad

Aey Flaq Naaz Meri Khaak Nasheeni Teri Bakhshish
Main Ney Matti Pey Tera Naam Likha Teray Baad

To Key Simta To Rag E Jaan Kii Hadon Mein Simta
Main Key Bikhra To Samaita Na Gya Teray Baad

Milney Waaley Kaii Mafhoom Pehan Kar Aaye
Koii Chehra Bhi Na Aankhon Ney Parha Teray Baad

Bujhey Jatey Hain Khad O Khaal Manaazir Afaq
Phelta Jata Hai Khwaahish Ka Khalla Teray Baad

Yeh Alag Baat Key Afsha Na Hua Too Warna
Main Ney Kitna Tujhey Mehsoos Kiya Teray Baad

Meri Dukhtii Hoii Aankhon Sey Gawaahii Laina
Main Ney Socha Tujhey Apney Sey Siwa Teray Baad

Seh Liya Dil Ney Teray Baad Malamat Ka Azaab
Warna Chubtii Hai Rag E Jaan Mein Hawa Teray Baad

No comments:

Post a Comment