Wednesday, 12 November 2014

Jo khiyal they na qiyas they wohi log mujh se bichar gaye

Jo khiyal they na qiyas they wohi log mujh se bichar gaye
Jo mohhbaton ki asaas they wohi log mujh se bichar gaye


Jinhey manta hi nahi ye dil wohi log mer hain hum safar
Mujhe har tarhan se jo ras they wohi log mujh se bichar gaye


Mujhe lamha bhar ki rafakaton ke sarab aur satayein gey
Meri umer bhar ki jo pyas they wohi log mujh se bichar gaye


Ye khiyal sarey hain aarzi ye gulab sarey hain kaghaz
i

Gul arzo ki jo bas they wohi log mujh se bichar gaye

Jinhey kar saka na kabool mein wo shareek e rah safar hoe
Jo meri talab meri as they wohi log mujh se bichar gaye


Meri dharkano ke kareeb they meri chah they mera khuwab they
Wo jo roz shab mere paas they wohi log mujh se bichar gaye

No comments:

Post a Comment