Wednesday 12 November 2014

Kabhi tu ne khud bhi socha keh yeh piyas hai to keyon hai

Kabhi tu ne khud bhi socha keh yeh piyas hai to keyon hai
Tujhy paa k bhi mera dil jo udaas hai to keyon hai

Mujhy keyon aziz tar hai yeh dhoaan dhoaan sa mosam
Yeh hawa-e-shaam-e-hijran mujhy raas hai to keyon hai

Tujhy khho ke sochta hon mire daaman-e-talab mein
Koi khwaab hai to keyon hai koi aas hai to keyon hai

Main ujar ke bhi hon tera tu bichar ke bhi hai mera
Yeh yaqin hai to keyon hai yeh qiyaas hai to keyon hai

Miry tan barhana dushman isi gham mein ghul rahy hein
Keh miry badan pe salim yeh libaas hai to kyon hai

Kabhi pooch is ke dil se keh yeh khush mizaaj shaair
Bahot apni shaairi mein jo udaas hai to keyon hai

Tera kis ne dil bujhaya mery Aitebar Sajid
Yeh chiragh-hijar ab tak tery pass hai to keyon hai

No comments:

Post a Comment