Magan kis dhun mein apny aap ko rakhta hai
Najany ajkal woh kesy mamolat rakhta hai
Asasa us ke kamry ka hein kuch maghmoom awazen
Darwazon mein maqfal hijar ke naghmat rakhta hai
Humari guftegoo kis roz kis manzil pe ponhchi thi
Bala ka hafza hai yad woh har bt rakhta hai
Agr nalan hon main to woh bhi khush nahin mujh se
Mery jesy hi woh mery liy jazbat rakhta hai
Boht gehra hai uski zahiri halat pe mat jana
Woh seenon mein paharon se bary sadmat rakhta hai
Usy kya chand se bhi koi dilchaspi nahin sajid
Woh apni khirkiyon ko band keyon din raat rakhta hai
No comments:
Post a Comment