Main ne is tor se chaha tujhe aksar janan
Jesy mehtaab ko be annt samander chahe
Jesy sooraj ki kiran seep k dil mein utery
Jesy khushboo ko hawa rang se hut kar chahe
Jesy pathar ke kalejy se kiran phootti hai
Jesy gunchy khily mausam se hina mangty hein
Jesy khawabon mein khayalon ki kaman tootti hai
Jesy barish ki duaa ablaa pa mangty hein
Mera har khawab mery such ki gawahi de ga
Wusat-e-deed ne tujh se teri khwahish ki hai
Meri sochon mein dekh kabhi sarapa apna
Main ne duniya se alag teri parastish ki hai
khwahish-e-deed ka mausam kabhi dundhla jo hoa
Noch dali hein zamay ki naqaben main ne
Teri palkon pe uterti hoi subhon k liy
Tor dali hein sitaron ki tanaben main ne
Main ne chaha keh tery husn ki gulnar fiza
Meri gazlon ki qataron se mehkti jaey
Main ne chaha keh mery fun ki bahar
Teri aankhon ke gulaabon se mehkti jaey
Tay to yeh tha keh sajata rahy lafzon ke kanwal
Mery khamosh khyalon mein taklum tera
Raqas kerta rahy bherta rahy khushboo ka khumar
Meri khwahish ke jazeeron mein tabasum tera
Tu magar ajnabi mahol ki perwarda kiran
Meri bhujti hoi raton ko sahar kar nah saki
Teri sanson mein masihai thi lekin tu bhi
Chara-e-zakham-e-gham-e-deed-e-tar kar nah saki
Tujh ko maalom hi kab hai kisi ke dard ka daagh
Aankh se dil mai utar jaey to kya hota hai
Tu keh simaab tabiyat hai tumhen kya maalom
Mausam-e-hijar theher jaey to kya hota hai
Tu ne us mor pe tora hai taaluq ke jahan
Dekh sakta nahin koi bhi palat kar janan
Ab yeh aalam hai keh aankhen khulen gi apni
Yaad aey ga teri deed ka manzar janan
Mujh se mangy ga tery ehad-e-mohabat ka hisab
Tery hijran ka dehkta hoa mehshar janan
Yon mery dil k brabar tera gham aya hai
Jesy shishy k muqabil koi pathar janan
Hum ne is tor se chaha tujhy aksar janan
Jesy mehtaab ko be annt samandar chahe
Jesy sooraj ki kiran seep k dil mein utery
Jesy khushboo ko hawa rang se hut kar chahe
No comments:
Post a Comment