Tuesday 11 November 2014

Tashnagi aankhon mein aor darya khyalon mein rahy

Tashnagi aankhon mein aor darya khyalon mein rahy
Hum nawa gar khush rahy jesy bhi halon mein rahy


Is qadr dunia ke dukh ay khubsorat zindgi
Jis trh titli koi makri ke jalon mein rahy


Dekhna ay reh noord-e-shoq kooey yar tak
Kuch nah kuch rang-e-hinna paon ke chhalon mein rhy


Hum se kiyon mangy hisab-e-jaan koi jab omar bhar
Kon hein, kya hein, kahan hn? in swalon min rahy


Bad zani esi keh ghairon ki wafa bhi khot thi
Sooye zan esa keh hum apnon ki chalon mein rahy

Aik dunya ko meri dewangi khush aa gai
Yaar maktab ki kitabon ke hwalon mein rahy


Ishq mein dunya gnwai hai nah jaan di hai Faraz
Phir bhi hum ehl-e-muhabbat ki misalon mein rhy

No comments:

Post a Comment