Wednesday 12 November 2014

Sakoon dard ko gham ko dawa bnati hai

Sakoon dard ko gham ko dawa bnati hai
Yeh shairi hai ajab mojzy dikhati hai

Kisi ke paon ki aahat kisi ki sargoshi
Hawaye hijr sadaen bahot sunati hai

Badalny lagti hai har gaam par sarab ki shakl
Haye dasht bahot sabar azmati hai

Us se shikwa bhi rehta hai talkh goi ka
Keh jis se apni tabiyat qarar pati hai

Tumhari mujh se mulaqat bhi achanak thi
Tumhara mil ke bicharna bhi hadsati hai

Kahen yeh koi nai sazish-e-hawa to nahin
Keh kuch charagh bachati hai kuch bojhati hai

No comments:

Post a Comment