Wednesday 12 November 2014

Yeh nahin keh sary jahan mein mujhy humsafr hi nahin mila

Yeh nahin keh sary jahan mein mujhy humsafr hi nahin mila
Sabhi aitbar ke sath thy koi motbar hi nahin mila

Meri nabaz chhoo ke to dekhta keh shakista dil ki hai sada kya
Mera lailaj marz nah tha koi chara gar hi nahin mila

Kabhi shehr chhan liy gaye kabhi khemy taan liy gaye
Jisy dekhta tha main khawab mein mujhy woh nagar hi nahin mila

Mujhy woh makeen hi nahin mily jinhen meri zaat se piyar ho
Jisy apna ghar main samjh sakon mujhy aisa ghar hi nahin mila

Raha muztarib mera shoq bhi mera sajda karny ka zoq bhi
Mujhy sang-e-rah to bahot mily tera sang-e-dar hi nahin mila

Sabhi apny apny garoh ke gham-e-arzoo ka shikar the
Kisy main dikhata yeh zakham-e-dil koi deeda war hi nahin mila

No comments:

Post a Comment