Wednesday, 12 November 2014

Main kisy suna raha hon yeh ghazal mohabbaton ki

Main kisy suna raha hon yeh ghazal mohabbaton ki
Kahen aag sazishon ki kahen aanch nafraton ki

Koi bagh jal raha hai yeh magar meri duaa hai
Mery phool tak nah ponhchy yeh hawa tmazton ki

Mera kon sa hai mausam mery mausamon ke wali
Yeh bahar be dili ki yeh khizan morawaton ki

Main qadeem bam-o-dar mein inhen ja ke dhondta hon
Woh diyar nikhaton ke woh fizaen chahton ki

Kahen chand ya sitary hoye hum kalaam mujh se
Kahen phool sihriyon ke kahen jhariyan chhaton ki

Mery kaghzon mein shayad kahen ab bhi so rahi ho
Koi subh gulistan ki koi shaam parbaton ki

No comments:

Post a Comment