Wednesday, 12 November 2014

Tum ko to yeh sawan ki ghata kuch nahin kehti

Tum ko to yeh sawan ki ghata kuch nahin kehti
Hum sokhta logon ko yeh kya kuch nahin kehti

Ho lakh koi shor machata hoa mausam
Dil chup ho to bahir ki fiza kuch nahin kehti

Kiyon rait pe bethy ho jhukaye hoye sar ko
Kya tum ko samandr ki hawa kuch nahin kehti

Pochha keh shikayat to nahin hai usy hum se
Ahista se qasid ne kaha kuch nahin kehti

Pochha keh judai ka koi hal bhi nikala
Qasid ne dobara yeh kaha kuch nahin kehti

Ay nukta-e-dard yeh to btao keh sar-e-shab
Kya shama frozan se hawa kuch nahin kehti

No comments:

Post a Comment