Saturday, 4 April 2015

Subh Ta Shaam Sochta Hoon

Subh ta shaam sochta hoon main.
Sau tere naam sochta hoon main.

Ye jo ek taza aag bhaRki hai;
Is ka anjaam sochta hoon main.

Saamne hai qalam bhi kaaGhaz bhi;
Aur paiGhaam sochta hoon main.

Tujh se is dil ka jo ta'alluq hai;
Us ka kuchh naam sochta hoon main.

Aik shaam-e-firaq Dhal bhi gayi;
Phir bhi har shaam sochta hoon main.

Kya sabab hai Gham-e-zamana ka;
La zara jaam, sochta hoon main.

Ab koi fikr hi nahien 'Baqi';
Bas tera naam sochta hoon main.

No comments:

Post a Comment