Saturday, 4 April 2015

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera

Ye dil ye pagal dil mera, kyon bujh gaya aavargi.
Is dasht mein ek shehar tha, vo kya huwa aavargi.

Kal shab mujhe be-shakl si aavaz ne chaunka diya;
Main ne kaha tu kaun hai, us ne kaha aavargi.

Ek tu ke sadiyon se mera, ham-rah bhi, ham-raz bhi;
ek main ke tere naam se, na-aashna aavargi.

Ye dard ki tanhaiyan, ye dasht ka viran safar;
Ham loug to ukta gaye, apni suna aavargi.

Ek ajnabi jhonke ne jab, poochha mere Gham ka sabab;
Sehra ki bheegi reit par, main ne likha aavargi.

Logo bhala us shehar mein, kaise jiyenge ham jahan;
Ho jurm tanha sochna, lekin saza aavargi.

Le ab to dasht-e-shab ki sari wusatain sone lageen;
Ab jagna hoga hamein kab tak bata aavargi.

Kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne Khvab mein
'Mohsin' mujhe raas aayegi shaayad sada aavargi.

No comments:

Post a Comment