Friday, 24 January 2014

Faraib-E-Nazar Hai Sakoon-O-Sabaat

Faraib-E-Nazar Hai Sakoon-O-Sabaat
Tarapta Hai Har Zarra-E-Kainat


Theharta Nahin Karwaan-E-Wujood
Ke Har Lehza Hai Taza Shaan-E-Wujood


Samjhta Hai Tu Raaz Hai Zindagi
Faqat Zauq-E-Parwaaz Hai Zindagi


Bohat Iss Ne Dekhe Hain Past-O-Buland
Safar Iss Ko Manzil Se Barh Kar Pasand


Safar Zindagi Ke Liye Barg-O-Saaz
Safar Hai Haqiqat, Hazar Hai Majaaz


Ulajh Kar Sulajhne Mein Lazzat Isse
Tarapne Pharakne Mein Rahat Isse


Huwa Jab Isse Samna Mout Ka
Kathan Tha Bara Thaamna Mout Ka


Uter Kar Jahan-E-Makafat Mein
Rahi Zindagi Mout Ki Ghaat Mein


Mazaq-E-Dooi Se Bani Zouj Zouj
Uthi Dast-O-Kohsaar Se Fouj Fouj


Gul Is Shakh Se Tootte Bhi Rahe
Issi Shakh Se Phootte Bhi Rahe


Samajhe Hain Nadan Issay Be-Sabaat
Ubharta Hai Mit Mit Ke Naqsh-E-Hayat


Bari Taiz Jolan, Bari Zood Ras
Azal Se Abad Tak Ram-E-Yak Nafas


Zamana Ke Zanjeer-E-Ayyam Hai
Damon Ke Ulat Phair Ka Naam Hai

No comments:

Post a Comment