Gul-e-zaban pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Tumhari "Haan" pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Darakht per jo kabhi chooriyon se daala tha...
Us aik nishaan pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Ye aik hum k nayee boliyan sada bolein...
Teri zaban pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Sulag rahi hain zehan mein qubayein lafzon ki...
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Tumhare aane pe sooraj k haath chamkenge...
Mere makaan pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Har aik simt pighalne lage hain sannate...
Tere bayan pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Jahan jahan teri khushbu k rang bikhrey hain...
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Teri judayi k pal se hoa hai ishq hunoot...
K is jahan pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Woh "Haan" karegi baharon mein us ka wada tha...
Us aik "Haan" pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Woh mujh ko sonp gaya furqatein december mein...
Darakht-e-jaa'n pe wohi sardiyon ka mausam hai...
Hamare lab to duayein jalaye rakhte hain...
Per asmaan pe wohi sardiyon ka mausam hai...
No comments:
Post a Comment