Tuesday, 7 January 2014

Kal hamesha ki tarha usne kaha ye phone par

Kal hamesha ki tarha usne kaha ye phone par
me bohot masruf hu, mujko bohot se kaam hyn

is liyay tum aao milnay , may to aa saktee nahi
har reevaayat torr kar is baar may nay keh diya

tum jo ho masruf to may bhi bohot masruf hun
tum jo ho mash-hur to may bhi bohot maroof hu

tum agar gham-geen ho, may b bohot ranjor hu
tum thakan se choor to me b thakan se choor hu

jan-e-mann hay waqt mera b bohot hee qeemtee
kuch pooraanay doston ne milnay aana hay abhi

me bhi ab faarigh nhi, mujko bhi laakho kaam hyn
warna kehne ko to sab lamhe tumharay naam hyn

meri ankhen b bohot bojhal hyn, sona hay mujhay
rat-jago k baad ab neendo may khona hay mujhay

may lahoo apnee aanaaon ka bahaa sakta nahee
tum nhi aateen to milnay may bhi aa sakta nahee

us ko yeh keh k WASI! may nay receiver rakh diya
aur phir apnee ANAA k paaoon pe sarr rakh diya!!

No comments:

Post a Comment