Friday, 24 January 2014

Khuda’ay Lam Yazil Ka Dast-E-Qudrat Tu, Zuban Tu Hai

Khuda’ay Lam Yazil Ka Dast-E-Qudrat Tu, Zuban Tu Hai
Yaqeen Paida Kar Ae Ghafil Ke Maghloob-E-Guman Tu Hai


Pare Hai Charakh-E-Neeli Faam Se Manzil Musalman Ki
Sitare Jis Ki Gard-E-Rah Hon, Woh Karwan Tu Hai


Makan Fani, Makeen Ani, Azal, Tera, Abad Tera
Khuda Ka Akhiri Pegham Hai Tu, Javidan Tu Hai


Hina Band-E-Uroos-E-Lala Hai Khoon-E-Jigar Tera 
Teri Nisbat Baraheemi Hai, Mamaar-E-Jahan Tu Hai


Teri Fitrat Ameen Hai Mumkanat-E-Zindagani Ki 
Jahan Ke Johar-E-Muzmar Ka Goya Imtihan Tu Hai


Jahan-E-Aab-O-Gil Se Alam-E-Javed Ki Khatir
Nabuwat Sath Jis Ko Le Gyi Woh Armgahan Tu Hai


Ye Nukta Sargazhat-E-Millat-E-Baiza Se Hai Paida
Ke Aqwam-E-Zameen-E-Asia Ka Pasban Tu Hai


Sabaq Phir Parh Sadaqat Ka, Adalat Ka, Shujaat Ka
Liya Jaye Ga Tujh Se Kaam Dunya Ki Imamat Ka

No comments:

Post a Comment