Udaas raaton main taiz coffee ki talkhiyon main,
Wo kuch zada he yaad aata hai sardiyon main.
Mujhe ijazat nahi hai us ko pukaarne ki,
Jo goonjta hai lahoo main seene ki dharkanon main.
Wo bachpana jo udaas raahon main kho gaya tha,
Main dhoondta hun usey tumhari shararton main.
Use dilaasay tu day raha hun magar ye sach hai,
Kaheen koi khoof barh raha hai tasalliyon main.
Tum apni pooroo'n sey jaanay kya likh gaye thay jana'n,
Chiraag roshan hain ab bhi meri hathayliyon main.
Jo tuu nahe hai tu ye mukammal na ho sakengi,
Teri yehe ahmiyat hai meri kahaniyon main.
Mujhe yaqeen hai wo thaam lega, bharam rakhega,
Ye maan hai tu diye jalaye hain aandhiyon main.
Har ek mosam main roshni si bikhairtay hain,
Tumharay gum kay chiraag meri udaasiyon main.
No comments:
Post a Comment