Friday, 24 January 2014

Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar Bande

Ye Ghazi, Ye Tere Purisrar Bande
Jinhain Tu Ne Bakhsha Hai Zuaq-e-Khudai


Do-Neem In Ki Thoukar Se Sehra-o-Darya
Simat Kar Pahar In Ki Haibat Se Rayi


Do Alam Se Karti Hai Baigana Dil Ko
Ajab Cheez Hai Lazzat-e-Ashnayi


Shahadat Hai Matloob-o-Maqsood-e-Momin
Na Maal-e-Ghanimat Na Kishwar Kushayi


Khayaban Mein Hai Muntazir Lala Kab Se
Qaba Chahye Iss Ko Khoon-e-Arab Se


Kiya Tu Ne Sehra Nasheenon Ko Yakta
Khabar Mein, Nazar Mein, Azan-e-Sehar Mein


Talab Jis Ki Sadiyon Se Thi Zindagi Ko
Woh Souz Iss Ne Paya Inhi Ke Jigar Mein


Kushad-e-Dar-e-Dil Samajhte Hain Iss Ko
Halakat Nahin Mout In Ki Nazar Mein


Dil-e-Mard-e-Momin Mein Phir Zinda Kar De
Woh Bijli Ke Thi Na’ara-e-‘LA TAZAR’ Mein


Aza’im Ko Seenon Mein Baidar-e-Kar De
Nigah-e-Musalman Ko Talwar Kar De!

No comments:

Post a Comment