Thursday 27 February 2014

Adam Se Jaanib-E-Hasti Talaash-E-Yaar Mein Aaye,

Adam Se Jaanib-E-Hasti 
Talaash-E-Yaar Mein Aaye,

Khuli Aankhein To Dekha, 

Waadi-E-Pur Khaar Mein Aaye,

Yaqeen Hal Kuchh Na Kuchh 

Rahmat Mizaaj-E-Yaar Mein Aaye,

Adafi Se Haath Baandhe Hum 

Tere Darbaar Mein Aaye.

Agar Bakhshe Zahe Rehmat, 

Na Bakhshe To Shikaait Kya,

Sar-E-Taslim Khum Hal, 

Jo Mizaaje-Yaar Mein Aaye.

Na Puchho Ahl-E-Mahshar, 

Hum Se Diwaana Ki Be-Taabi,

Yahaan Majma Suna, Yaan Bhi 

Talaash-E-Yaar Mein Aaye.

Adam Ke Jaane Waalo, 

Bazm-E-Jaanaan Tak Agar Pohncho
,
Hamen Bhi Yaad Rakhna, 

Zikar 10 Darbaar Mein Aaye.

Na Maango Bosa, Ay Aatish, 

Bigaare Munh Woh Baithe Ham,

Qayaamat Hai Agar Ha! 

Abroo-E-Khamdaar Mein Aaye.

No comments:

Post a Comment