Thursday 27 February 2014

Shab_e_Wasal Thi, Chandni Ka Samaa'n Tha,

Shab_e_Wasal Thi, Chandni Ka Samaa'n Tha,
Baghal Mein Sanam Tha, Khuda Meherbaa'n Tha,

Mubaarak Shab_e_Qadar Say Bhi Wo Shab Thi,
Saher Tak May_o_Mushtari Ka Qaraa'n Tha,

Wo Shab Thi K Thi Roshni Jis Mein Din Ki,
Zamee'n Par Say Ik Noor Taa_Aasmaa'n Tha,

Nikaalay Thay Do Chaand Us Nay Muqaabil,
Wo Shab, Subha_e_Jannat Ka Jis Par Gumaa'n Tha,

Aroosi Ki Shab Ki Halaawat Thi Haasil,
Farah_Naak Thi Rooh, Dil Shaadmaa'n Tha,

Mushahid Jamaal_e_Pari Ki Thi Aankhein,
Makaan_e_Wasaal Ek Talismi Makaa'n Tha,

Hazoori Nigaaho'n Ko Deedaar Say Thi,
Khula Tha Wo Parda K Jo Darmiyaa'n Tha,

Haqeeqat Dikhaata Tha Ishq_e_Majaazi,
Nehaa'n Jis Ko Samjhay Huey Thay, Aiyaa'n Tha,

Bayaa'n Khuwaab Ki Tarha Jo Kar Raha Tha,
Ye Qissa Hai Jab Ka, K "Aatish" Jawaa'n Tha ..!

No comments:

Post a Comment