Thursday 27 February 2014

Dekha Yaan Aaeena-E-Fikr Ne

Dekha Yaan Aaeena-E-Fikr Ne 
Jab Safa-E-Aab Dar Sukhan Ka,

Dahan Ko Jauhar Khula Zabaan Ka,

 Zabaan Ko Aqda Khula Dahan Ka,

Nazar Jo Aa Jaaye Baid Majnu To 

To Roun Majnu Ki Yaad Mein,

Jo Dekhoon Yatsha To Sar Ko Phodoon 

Khayaal Bant Jaaye Koh-Kan Ka,

Barahna Aaya Tha Yaan Adam Se, 

Barahna Yaan Se Chhala Adam Ko,

Na Boye Kaafur Hain Naa Soonghi, 

Na Daagh Mujhko Laga Kafan Ka,

Nigaah Awwal Mein Chashm Se Gon, 

Yeh Rang Mehfil Kare Deegar Gon,

Woh Haal Howe Jo Waqt-E-Aakhir, 

Sharab-Khoron Ki Anjuman Ka,

Jo Haal Parwaan-E-Ishq Mein Hai, 

Wahi Mohabbat Mein Aalam-E-Dil,

Woh Samaa Fanoos Ka Hai Kashta, 

Yeh Sukhta Noor Pairahan Ka,

Na Yeh Nazaakat Pari Mein Hogi, 

Na Hooren Yeh Nazaakat "Aatish",

Jo Haar Phoolon Ka Is Ne Pahna, 

To Bojh UthaayaHazaar Man Ka ...

No comments:

Post a Comment