Thursday 27 February 2014

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Mila Na Mujh Sa Jo Ehl -e- Wafa To Kya Ho Ga,
Taras K Rah Gaya Shauq-e-Jafa To Kya Ho Ga, 


Huzoor Ko Faqt Apne Shabaab Par Hai Ghuroor,
Agar Shabaab De Gaya Dagha To Kya Ho Ga,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Kya Yehi Rasm-e-Wafa Haim Kya Yehi Khuloos ?
Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,


Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,
Tum Chhup Nahi Sakte, Kaheen Tum Ja Nahi Sakte,


Tum Mere Takhaiyul Mein Ho, Tum Meri Nazar Mein,
Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,


Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,
Daaman Churra K Aap Ne Jaana Hi Tha Agar,


Nazrein Utha K Pyar Se Dekha Tha Kis Liye ?
Thehro Zara K Main Tumhein Jee Bhar K Dekh Loon,


Aisa Na Hi Ke Gir Parre Deewaar Khwaab Ki,
Kya Khushaamad Ho Rahi Thi Dil K Lene Ke Liye,


Kaise Nazrein Phair Lee'n Matlab Nikal Jaane Ke Baad,
Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,


Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,
Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,


Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,
Zara Apni Utthti Jawani Ka Sadqa,


Idhar Bhi Nigaah_e_Karam Chaltay Chaltay,
Abroo Na Sanwaara Karo, Katt Jaye Gi Ungli,


Naadaan ! Kabhi Talwaar Se Khaila Nahi Karte,
Pyar Hota Hai To Ik Dil Mein Jalan Rehti Hai,


Khaar Chubh Jaane Se Jese K Chubhan Rehti Hai,
Faasla Ishq Ki Manzil Ka Hai Do Chaar Qadam,


Saal-ha Saal Magar Iski Thakan Rehti Hai,
Meri Jaan Idhar Bhi To Aik Nigaah-e-Naaz Ho,


Husn Kare Taraqqiyaan Umar Teri Daraaz Ho,
Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,


Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,
Chalay Aaye Thay Aaj Us Ki Gali Say,


Yehi Soch Kar Wahaan Na Jayein Gay Lekin,
Jo Peechay Say Us Be_wafa Nay Pukara,


Wahee'n Ruk Gaye Bas Qadam Chaltay Chaltay,
Likha Khat Usi Ko Mukhaatab Koi Tha,


Magar Baar-ha Aisa Aalam Bhi Guzra,
Khayaal Aa Gaya Us Gharri Jab Tumhara,


Waheen Ruk Gaya Bas Qalam Chaltay Chalay,
Na Taana_Zani Kar Meri May_Kashi Par


Zara Pooch Apni Nasheeli Nazar Say,
Khata_Gar Nahi Teri Nazaro'n Ki Zalim


To Kiyon Larkharraye Qadam Chaltay Chaltay,
Raqeebo'n Say Milna, Humein Bhool Jana,


Kahaan Ka Ye Insaaf Hai O Sitam_Gar,
Karo Yaad Wo Din K Hum Say Wafa Ki,


Uthaai Thi Tu Nay Qasam Chaltay Chaltay ...

No comments:

Post a Comment